Monday, April 5, 2010

Kiss and Slap (Hindi Poem)

Gali ke mod par ek aalisaan dukan,
Teen grahak vidyamaan vridha, uvti aur jawan,
Samano ke bech uljha dukandar,
Chal raha len-den, baat, vyavhar
Ki Achanak bijli ho gayi gul,
Charo or andkar me sabhi dubne lage.
Andhere me yuvak ko Mazak sujha bada pyara,
Usne apne hath ko kiss kiya
Aur dukandar ko ek jhapad de mara,
Chumban aur jhapad gunj utha
Jaise labh aur ghata jhanjhana utha sannata.
Budhiya Sochne lagi
Charitra-waan yuvti ne Acha kiya
Chumban ka jabab jhapad se diya,
Yuvti Sochti hai
Haay re murkh nadan, lagta bilkul anjan
Mujhe chod us budhiya par mar mita
Bechara faltu me pita
Aur dukandar sahlate hue apna gaal
Kar raha hai gum
Harkat kisi aur ki aur faltu me pit gaye hum.

No comments: